Alam-e-Barzakh
Murda Apni Qabar Se
Kya Shay Hai, Kis Amroz Ka Farda Hai Qayamat
Ae Mere Shabistan-E-Kuhan ! Kya Hai Qayamat?
Qabar
Ae Murda’ay Sad Sala ! Tujhe Kya Nahin Maloom?
Har Mout Ka Poshida Taqaza Hai Qayamat !
Murda
Jis Mout Ka Poshida Taqaza Hai Qayamat
Uss Mout Ke Phande Mein Giraftar Nahin Main
Har Chand Ke Hun Murda’ay Sad Sala Walekin
Zulmat Kudda’ay Khak Se Bezaar Nahin Main
Ho Rooh Phir Ek Bar Sawar-e-Badan-e-Zaar
Aesi Hai Qayamat To Kharidar Nahin Main
Sada’ay Ghaib
Ne Naseeb-e-Maar Wa Kuzdum, Ne Naseeb-e-Dawam Wa Dad
Hai Faqat Mehkoom Qoumon Ke Liye Marg-e-Abad
Bang-e-Israfeel Un Ko Zinda Kar Sakti Nahin
Rooh Se Tha Zindagi Mein Bhi Tehi Jin Ka Jasad
Mar Ke Ji Uthna Faqat Azad Mardon Ka Hai Kaam
Garcha Har Zee Rooh Ki Manzil Hai Aagosh-E-Lehad
Qabar (Apne Murde Se)
Ah Zalim! Tu Jahan Mein Banda’ay Mehkoom Tha
Main Na Samjhi Thi Ke Hai Kyun Khak Meri Souz Naak
Teri Mayyat Se Meri Tareekiyan Tareek Tar
Teri Mayyat Se Zameen Ka Parda’ay Namoos Chaak
Alhazar, Mehkoom Ki Mayyat Se Sou Bar Alhazar
Ae Sarafeel ! Ae Khuda’ay Kainat ! Ae Jaan-E-Pak
Sada’ay Ghaib
Garcha Barham Hai Qayamat Se Nizam-E-Hast-O-Bood
Hain Issi Aashob Se Beparda Asrar-E-Wajood
Zalzale Se Koh-O-Dar Urtte Hain Manind-E-Sihab
Zalzale Se Wadiyon Mein Taza Chashmon Ki Namood
Har Nayi Tameer Ko Lazim Hai Takhreeb-E-Tamam
Hai Issi Mein Mushkilat-E-Zindagani Ki Kushood
Zameen
Ah Ye Marg-E-Dawam, Ah Ye Razm-E-Hayat
Khatam Bhi Ho Gi Kabhi Kashmakash-E-Kainat !
Aqal Ko Milti Nahin Apne Button Se Nijaat
Arif-O-Aami Tamam Band’ay Laat-O-Manaat
Khuwaar Huwa Kis Qadar Adam-E-Yazdaan Sifaat
Qalb-O-Nazar Par Garan Aese Jahan Ka Sibaat
Kyun Nahin Hoti Sehar Hazrat-E-Insan Ki Raat?
0 comments:
Post a Comment