Tuesday, November 26, 2013

(Armaghan-e-Hijaz-02)(بڈھے بلوچ کی نصیحت بیٹے کو ) Budhe Baloch Ki Nasihat Baite Ko




Transliteration
 
 
Budhe Baloch Ki Nasihat Baite Ko
 
(1)
Ho Tere Bayaban Ki Hawa Tujh Ko Gawara
Iss Dasht Se Behter Hai Na Dilli Na Bukhara
 
(2)
Jis Simat Mein Chahe Sifat-e-Seel-e-Rawan Chal
Wadi Ye Humari Hai, Woh Sehra Bhi Humara
 
 (3)
Ghairat Hai Bari Cheez Jahan-e-Tagg-o-Dou Mein
Pehnati Hai Darvesh Ko Taj-e-Sar-E-Dara
 
 (4)
Hasil Kisi Kamil Se Ye Poshida Hunar Kar
 Kehte Hain Ke Sheeshe Ko Bana Sakte Hain Khara
 
(5)
Afrad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara
 
(6)
Mehroom Raha Doulat-e-Darya Se Woh Ghawwas
Karta Nahin Jo Souhbat-e-Sahil Se Kinara
 
(7) 
 Deen Hath Se De Kar Agar Azad Ho Millat
Hai Aesi Tajarat Mein Musalman Ka Khasara
 
(8)
Dunya Ko Hai Phir Ma’arka-e-Rooh-o-Badan Paish
Tehzeeb Ne Phir Apne Darindon Ko Ubhara
 
(9)
Allah Ko Pa-Mardi-e-Momin Pe Bharosa 
Iblees Ko Yourap Ki Machinon Ka Sahara
 
(10)
 Taqdeer-e-Umam Kya Hai, Koi Keh Nahin Sakta
Momin Ki Firasat Ho To Kafi Hai Ishara
 
(11)
 Ikhlas-e-Amal Mang Nayagan-e-Kuhan Se
‘Shahan Che Ajab Gar Banawazand Gada Ra  

1 comment: